Wednesday, August 10, 2016

us ne chuu kr mujhay pthar se phir insaan kia
muddato'N baad meri aankh mein ansoo aye

Thursday, April 28, 2016

wo aag barsi hay dupehr mein
k saaray manzar jhulas gaye hain
subha saweray jo taazgi thi
wo taazgi ab kahiN nahi hay

guzar gya waqt dil pe likh kr
na janay kesi ajeeb batein
waraq palat-ta hoon ab jo dil k
tu saadgi ab kahiN nahi hay

buhat dinoN baad paii fursat
tu mainay khud ko palat k dekha
magr mein pehchanta tha jisko
wo aadmi ab kahiN nahi hay